yahooda ki chitthi 1:1-25
1 main yahooda jo yeeshu maseeh ka daas aur yakub ka bhaai hoon,+ unhein likh raha hoon jinhein bulva mila hai.+ parmeshvar hamara pita unse pyar karta hai aur unki hifazat karta hai taaki woh yeeshu maseeh ke saath rahein.+
2 parmeshvar ki taraf se tumhein aur zyada daya, shaanti aur pyar mile.
3 pyare bhaaiyo, main tumhein us uddhaar ke baare mein likhne ki poori koshish kar raha tha jo hum sabko mil raha hai,+ magar fir mainne yah zaroori samjha ki tumhein us vishvas ki khaatir ji-jaan se ladne ka badhava doon+ jo pavitra logon ko ek hi baar hamesha ke liye saunpa gaya hai.
4 mere likhne ki vajah yah hai ki hamare beech kuch aise aadmi dabe paanv ghus aaye hain jinke liye shastra mein bahot pehale se yah saza thehrayi jaa chuki hai. ye aise bhaktiheen aadmi hain jo hamare parmeshvar ki maha-kripa ko nirlajj kaam*+ karne ka bahana bana rahe hain aur apne ekmatra maalik aur prabhu yeeshu maseeh ke saath vishvasghat karnevale saabit ho rahe hain.+
5 tum yah sab pehale se jaante ho, fir bhi main tumhein yaad dilana chahta hoon ki haalanki yahova* ne apne logon ko misra desh se chhudaya tha,+ fir bhi baad mein jin logon ne vishvas nahin kiya unhein usne naash kar diya.+
6 aur jo swargdoot us jagah par kaayam na rahe jo unhein di gayi thi aur jinhonne woh jagah chhod di jahaan unhein rehna tha,+ unhein usne hamesha ke bandhanon mein jakadkar rakha hai taaki woh uske mahan din mein saza paane tak ghor andhkar mein rahein.+
7 usi tarah, sadom aur amora aur unke aas-paas ke shehron ke logon ne bhi naajayaz yaun-sambandh* rakhne mein saari hadein paar kar di aur woh shareer ki aswabhavik ichhayen poori karne mein lage rahe.+ unhein saza di gayi aur aag se hamesha ke liye naash kar diya gaya aur woh hamare liye ek chetavni thahre ki hum unse sabak seekhein.+
8 fir bhi ye aadmi sapnon mein khoye rehte hain, doosron ke shareer ko bhrasht karte hain, adhikar rakhnevalon ko tuchh samajhte hain aur un logon ke baare mein buri baatein kehte hain jinhein parmeshvar ne mahima di hai.+
9 lekin jab moosa ki laash ke baare mein pradhan swargdoot+ meekael+ ki shaitan* ke saath behas hui,+ to usne shaitan ko bura-bhala kehkar use doshi thehrane ki jurrat nahin ki+ balki yah kaha, “yahova* tujhe daante.”+
10 magar ye aadmi jin baaton ki bilkul samajh nahin rakhte un sabke baare mein buri-buri baatein kehte hain.+ aur woh nirbuddhi jaanvaron ki tarah jo baatein apne swabhav se samajhte hain,+ unke mutabik kaam karke khud ko bhrasht karte jaa rahe hain.
11 unka bahot bura hoga kyonki woh kain ki raah par nikaal pade hain+ aur inam paane ke liye bilam ki galat raah par daud rahe hain+ aur korah+ ki tarah bagavti baatein+ karke naash ho gaye hain!
12 woh tumhare saath daavton* mein khaate-peete hain magar paani mein chhipi chattanon jaise hain.+ woh aise charvahe hain jo sirf apna pet bharte hain aur aisa karne se nahin darte.+ woh bin paani ke aise baadal hain jinhein hava yahaan-vahaan uda le jaati hai.+ woh aise ped hain jinmein mausam aane par bhi fal nahin lagte. woh poori tarah mar chuke hain* aur unhein jad se ukhaad diya gaya hai.
13 woh samundar ki bhayanak lehrein hain jo besharmi ka jhaag uchhalte hain.+ woh bhatakte taare hain jo hamesha tak ghor andhkar mein raheinge.+
14 haan, hanok+ bhi jo aadam se saatvin peedhi mein tha, usne in logon ke baare mein yah bhavishyavani ki thi: “dekho! yahova* apne laakhon pavitra swargdooton ke saath aaya+
15 taaki un sabko saza de+ aur un sab bhaktiheen logon ko un bhaktiheen kaamon ke liye doshi thehraye jo unhonne parmeshvar ke khilaf jaakaar kiye the aur un sabhi ghinauni baaton ke liye jo un paapiyon ne uske khilaf kahi thi, unhein saza de.”+
16 woh aadmi kudkudate hain+ aur apne haalaat ko koste hain. woh apni ichhaon ke mutabik chalte hain+ aur apne munh se badi-badi dingein maarte hain aur apne faayde ke liye doosron ki chaaploosi karte hain.*+
17 lekin pyare bhaaiyo, tum woh baatein yaad karo jo hamare prabhu yeeshu maseeh ke preshiton ne pehale batayi thi,
18 kis tarah woh tumhein bataya karte the, “aakhiri vakt mein khilli udanevale aayenge jo apni buri ichhaon ke mutabik kaam kareinge.”+
19 yahi woh aadmi hain jo fut daalte hain,+ shaareerik soch rakhte* hain aur jinmein parmeshvar ki pavitra shakti nahin hai.
20 magar pyare bhaaiyo, tum apne pavitra vishvas ki buniyad par khud ko mazboot karo aur pavitra shakti ke maargdarshan ke mutabik prarthna karo+
21 taaki hamare prabhu yeeshu maseeh ki daya paane ka intazar karte huye jisse tumhein hamesha ki zindagi milegi,+ tum khud ko parmeshvar ke pyar ke laayak banaye rakho.+
22 saath hi, aise logon ko daya dikhate raho+ jo shak karte hain+
23 aur jhapatkar unhein vinash ki aag se baahar nikaalo aur bacha lo.+ magar doosron par bhi daya karte raho aur ehtiyat barto aur is dauran unke bure kaamon se nafrat karo jinse unhonne khud ko daagdar kar liya hai.*+
24 parmeshvar tumhein thokar khaane se bacha sakta hai aur apni mahima ke saamne* nishkalank khada kar sakta hai+ aur tumhein bahot khushi de sakta hai.
25 hamare prabhu yeeshu maseeh ke zariye beete yugon se aur aaj aur yug-yug tak mahima, aishvarya, shakti aur adhikar us ekmatra parmeshvar aur hamare uddharkarta ke hon. aameen.
kai footnote
^ shaa., “pyar ki daavton.”
^ shaa., “do baar mar chuke hain.”
^ ya “khaas logon ki vaah-vaahi karte hain.”
^ ya “jaanvaron jaise.”
^ shaa., “yahaan tak ki unke kapde se bhi nafrat karo jis par unke shareer ka daag laga hai.”
^ ya “apni mahimavan maujoodgi mein.”