yakub ki chitthi 1:1-27
1 yakub+ jo parmeshvar ka aur prabhu yeeshu maseeh ka daas hai, un 12 gotron ko likhta hai, jo chaaron taraf titar-bitar ho gaye hain:
namaskar!
2 mere bhaaiyo, jab tum tarah-tarah ki pareekshaon se guzro to ise badi khushi ki baat samjho+
3 kyonki tum jaante ho ki tumhara parkha hua vishvas dheeraj paida karta hai.+
4 magar dheeraj ko apna kaam poora karne do taaki tum sab baaton mein khare* aur bedag paaye jaao aur tummein koi kami na ho.+
5 isliye agar tummein se kisi ko buddhi ki kami ho to woh parmeshvar se maangta rahe+ aur woh use di jaayegi,+ kyonki parmeshvar sabko udarta se aur bina daante-fatkaare* deta hai.+
6 lekin woh vishvas ke saath maangta rahe+ aur zara bhi shak na kare,+ kyonki jo shak karta hai woh samundar ki lehron jaisa hota hai jo hava se yahaan-vahaan uchhalti rehti hain.
7 darasal aisa insan yah ummeed na kare ki woh yahova* se kuch paayega.
8 aisa insan uljhan mein rehta hai*+ aur saari baaton mein daanvandol hota hai.
9 jo bhaai gareeb hai woh isliye khushi manaye* ki use uncha kiya gaya hai+
10 aur jo ameer hai woh isliye khushi manaye ki use deen kiya gaya hai,+ kyonki woh aise mit jaayega jaise maidan mein ugnevala fool.
11 jaise sooraj ke chadhne par uski tapti dhoop se paudha murjha jaata hai aur uska fool sookhkar gir jaata hai aur uski khoobsoorti mit jaati hai, theek vaise hi ameer aadmi bhi zindagi ki bhaag-daud mein mit jaayega.+
12 sukhi hai woh insan jo pareeksha mein dheeraj dhare rehta hai+ kyonki pareeksha mein khara utarne par woh jeevan ka taaj paayega,+ jiska vaada yahova* ne unse kiya hai jo hamesha usse pyar karte hain.+
13 jab kisi ki pareeksha ho rahi ho to woh yah na kahe, “parmeshvar meri pareeksha le raha hai.” kyonki na to buri baaton se parmeshvar ki pareeksha li jaa sakti hai, na hi woh khud buri baaton se kisi ki pareeksha leta hai.
14 lekin har kisi ki ichha use khinchti aur lubhati hai,* jisse woh pareeksha mein padta hai.+
15 fir ichha garbhvati hoti hai aur paap ko janm deti hai aur jab paap kar liya jaata hai to yah maut laata hai.+
16 mere pyare bhaaiyo, dhokha na khaao.
17 har achha tohfa aur har uttam den oopar se milti hai+ yaani aakash ki jyotiyon ke pita ki taraf se,+ jo us chhaaya ki tarah nahin badalta jo ghatti-badhti rehti hai.+
18 uski yahi marzee thi ki hamein sachchai ke vachan se paida kare+ taaki hum uske banaye insanon mein pehale fal jaise hon.+
19 mere pyare bhaaiyo, yah baat jaan lo: har koi sunnae mein furti kare, bolne mein utavli na kare+ aur gussa karne mein jaldbazee na kare.+
20 kyonki insan ke krodh ka nateeja parmeshvar ki neki nahin hota.+
21 isliye har tarah ki gandgi aur burai ka har daag* door karo+ aur jab tumhare andar vachan boya jaata hai, to use komalta se sweekar karo kyonki yah tumhari jaan bacha sakta hai.
22 lekin vachan par chalnevale bano,+ na ki sirf sunnaevale jo jhoothi daleelon se khud ko dhokha dete hain.
23 kyonki jo koi vachan ko sunta hai magar us par chalta nahin,+ woh us insan ke jaisa hai jo aaine mein apna* chehra dekhta hai.
24 woh apni soorat dekhta hai aur chala jaata hai aur fauran bhool jaata hai ki woh kis tarah ka insan hai.
25 magar jo insan aazadi dilanevale khare kaanoon ko kareeb se jaanchta* hai+ aur usmein laga rehta hai, aisa insan sunkar bhoolta nahin magar us par chalta hai aur isse woh khushi paata hai.+
26 agar koi aadmi khud ko parmeshvar ki upasna karnevala* samajhta hai magar apni zaban par kaskar lagam nahin lagata,+ to woh apne dil ko dhokha deta hai aur uska upasna karna bekar hai.
27 hamare parmeshvar aur pita ki nazar mein shuddh aur nishkalank upasna* yah hai: anathon aur vidhvaon ki museebaton mein dekhbhal ki jaaye+ aur khud ko duniya se bedag rakha jaaye.+
kai footnote
^ ya “poore; paripoorna.”
^ ya “bina galtiyaan dhoondhe.”
^ ya “duchitta hai.”
^ ya “garv kare.”
^ ya “maano chaare se fansati hai.”
^ ya shaayad, “dheron buraiyon ko.”
^ ya “apna asli.”
^ ya “jhaankta.”
^ ya “dhaarmik.”
^ ya “dharm.”