yashayah 14:1-32
14 yahova yakub par daya karega+ aur ek baar fir israel ko chun lega.+ parmeshvar unhein apne desh mein basayega.*+ pardesi bhi unke saath ho leinge aur yakub ke gharane se jud jaayenge.+
2 doosre desh ke log unhein vaapas unke vatan le aayenge. aur israel ka gharana yahova ke desh mein un logon ko daas-daasi bana lega.+ woh apne bandi bananevalon ko bandi bana leinge aur jinhonne unse jabran kaam liya tha, unhein woh apne adheen kar leinge.
3 jis din yahova tera dukh-dard aur teri bechaini door karega aur kadi gulami se tujhe raahat dilayega, us din tu+
4 baibilon ke raja par yah taana kasega,“yah kya, doosron se gulami karanevala khud khatm ho gaya!
uske zulmon ka ant ho gaya!+
5 yahova ne us dusht ki chhadi tod daali,un shaaskon ki laathi ke tukde-tukde kar diye,+
6 jo gusse mein desh-desh ke logon par andhadhundh vaar kar rahe the,+raashtron ko jeetne ke liye ek-ke-baad-ek zulm kar rahe the.+
7 ab poori prithvi ko chain mila hai, har taraf shaanti hai,
log khushi ke maare chilla rahe hain.+
8 sanovar ke ped aur labanon ke devdar bhi,tera haal dekhkar foole nahin sama rahe.
woh kehte hain, ‘achha hua tujhe gira diya gaya,ab hamein kaatne koi lakadhara nahin aata.’
9 neeche kabraa mein halchal machi hai,sab tujhe dekhna chahte hain.
kabraa murdon ko nind se uthati hai,dharti ke sab zalim aguvon* ko jagati hai,sab raashtra ke raajaon ko apni-apni raajgaddi se khada karti hai.
10 woh sab-ke-sab tujhse kehte hain,‘tera haal bhi hamare jaisa ho gaya!
bhala tu kab se hamari tarah kamzor ban gaya?
11 dekh! kabraa* mein tera ghamand choor-choor ho gaya,tere taaronvale baaje khaamosh ho gaye.+
ab to tu keedon se saje bistar par soyega,keinchhuon ki chaadar odhega.’
12 hey chamakte taare, hey subah ke bete,tu aasman se kaise gir pada?
hey raashtron ko dhool chatanevale,+tu kaise katkar gir gaya?
13 toone man-hi-man kaha tha, ‘main aakash par chadhoonga,+apni raajgaddi parmeshvar ke taaron se bhi unchi karoonga.+
main uttar ke door ke ilake mein,sabha ke parvat par baithoonga.+
14 main baadlon se bhi oopar chadh jaaunga,khud ko param-pradhan parmeshvar jaisa banaunga.’
15 lekin tujhe neecha kiya gaya,tu kabraa* mein, haan, sabse gehre gaddhe mein jaa gira.
16 dekhnevale tujhe ghoor-ghoorkar dekhte hain,woh paas aakaar tujhe dekhte hain aur kehte hain,‘kya yah vahi aadmi hai jiske saamne poori dharti kaanpti thi,jiske khauf se raajya tharthara uthte the?+
17 kya yah vahi hai jisne dharti ko veeran kar diya,uske shehron ko dhaa diya+aur apne kaidiyon ko riha nahin kiya?’+
18 doosre raashtra ke raajaon ko,haan, un sabhi ko poori izzat ke saathapni-apni kabraa* mein dafnaya gaya.
19 lekin tujhe nahin dafnaya gaya,tujhe ek sadi daal ki tarah feink diya gaya,teri laash un logon ki laashon ke dher mein dabi hai, jo talvar se maare gayeaur jinhein gaddhe mein pattharon ke beech feink diya gaya.tu pairon tale raundi gayi laash jaisa ho gaya hai.
20 tujhe raajaon ke saath kabraa mein nahin dafnaya jaayega,kyonki toone khud apna desh ujada haiaur apne logon ki jaan li hai.
dusht ki auladon ka naam fir kabhi nahin liya jaayega.
21 unke baap-daada paap ke doshi the,isliye jaao, beton ko maar daalne ke liye ek jagah taiyar karo,kahin woh bagavat karke prithvi par kabza na kar leinaur jagah-jagah apne shehar na basa lein.”
22 senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, “main baibilon ke khilaf uthoonga.”+
yahova kehta hai, “main baibilon ka naam khaak mein mila doonga. uske bache huye logon, uski santan aur aanevali peedhiyon ka naamo-nishan mita doonga.”+
23 senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, “main use saahiyon ka adda bana doonga. uske poore ilake ko daldal mein badal doonga. main vinash ki jhaadoo se use jhaad doonga.”+
24 senaon ke parmeshvar yahova ne shapath khaayi hai,
“jaisa mainne socha hai vaisa hi hoga,jo mainne thaana hai woh poora hokar hi rahega.
25 main apne desh mein ashshoor ko kuchal doongaaur apne pahadon par use raund daaloonga.+
uska jua apne logon par se hata doongaaur uska bojh unke kandhon se utaar feinkoonga.”+
26 poori prithvi ke khilaf mainne yahi thaana haiaur sab raashtron ke khilaf apna haath badhaya hai.
27 senaon ka parmeshvar yahova jo thaan leta hai,use kaun naakam kar sakta hai?+
jab woh apna haath badhata hai,to kaun use rok sakta hai?+
28 jis saal raja aahaj ki maut hui,+ us saal parmeshvar ne yah sandesh diya:
29 “hey palisht, khush mat ho ki tujhe maarnevale ki laathi toot gayi.
kyonki saanp ki jad+ se ek zahreela saanp niklega+aur uska vansh aisa vishaila saanp hoga jismein bijli ki si furti hogi.
30 deen-dukhiyon ke pehalauthe ji-bharkar khaayengeaur gareeb bekhauf jeeyenge,magar tere logon* ko main akaal se maar daaloongaaur tere bache huon ki jaan le loonga.+
31 hey shehar, maatam mana! hey shehar ke faatko, zor-zor se ro-o!
hey palisht ke logo, tum himmat haar baithoge,kyonki dekho, uttar se ek dhuaan tumhari taraf badh raha hai,dushman sena ek-saath aa rahi hai,ek bhi sainik peechhe nahin hai.”
32 woh raashtra ke dooton ko kya javab deinge?
yahi ki yahova ne siyyon ki ninv daali hai+aur uske deen jan siyyon mein panah leinge.