yashayah 50:1-11
50 yahova kehta hai,
“jab mainne tumhari maa ko door bheja, to kya use koi talaknama diya?+
kya mainne apna koi karz chukane ke liye tumhein becha?
nahin! tumhein to apne gunahon+ ke kaaran becha gaya,tumhare apradhon ke kaaran tumhari maa ko door bheja gaya.+
2 jab main yahaan aaya to kyon mujhe koi nahin mila?
kyon mere bulane par kisi ne javab nahin diya?+
kya mera haath itna chhota hai ki woh chhuda na sake?
kya mujhmein taakat nahin ki tumhein bacha sakoon?+
dekho, meri fatkaar sunkar samundar sookh jaata hai.+
main nadiyon ko registan bana deta hoon,+unki machhliyaan bin paani ke pyasi mar jaati hain aur badboo maarne lagti hain.
3 main aasman ko kaali chaadar se dhak deta hoon+aur use taat ka kapda pehnata hoon.”
4 saare jahan ke maalik yahova ne mujhe sikhaya aur aisi zaban* di+ki main sahi baat kehkar thake-maandon ko javab de sakoon.*+
woh mujhe har subah uthata hai, mere kaan kholta haitaaki main seekhnevalon ki tarah dhyan se uski sunoon.+
5 saare jahan ke maalik yahova ne mujhe samajh ki baatein sikhayin,*
main baagi nahin tha,+ mainne usse munh nahin fera.+
6 mainne kode maarnevalon ko apni peeth di,daadhi nochnevalon ki or apne gaal kar diye.
apman sehne aur thooke jaane par mainne munh nahin chhipaya.+
7 saare jahan ka maalik yahova meri madad karega,+isliye main beizzat mehsoos nahin karoonga.
mainne apna chehra chakmak patthar ki tarah kada kar liya hai+aur mujhe yakeen hai ki mujhe sharminda nahin hona padega.
8 jo mujhe nek karar deta hai, woh mere kareeb hai.
kaun mujh par ilzam lagayega?+
woh saamne aakaar baat kare.
kaun mujhse mukadma ladega?
woh aage aaye.
9 dekho! saare jahan ka maalik yahova meri madad karega.
kaun mujhe doshi thehra sakta hai?
dekho! woh us purane kapde ki tarah ho jaayenge,jise kapad-keeda khaa gaya ho.
10 tumhare beech aisa kaun hai jo yahova ka dar maanta haiaur uske sevak ki baat sunta hai?+
kaun hai jo bin raushni ke ghup andhere mein chalta hai?
woh yahova ke naam par bharosa kare aur parmeshvar ko apna sahara banaye.*
11 “tum sab jo aag sulgate ho, jisse chingariyaan uthti hain,apni sulgayi aag ki raushni mein chalo,usse uthnevali chingariyon mein hokar chalo.
par meri taraf se tumhein yah saza milegi:
tum dard se behal pade rahoge.
kai footnote
^ ya shaayad, “ki himmat bandha sakoon.”
^ ya “taaleem paayi hui zaban.”
^ shaa., “mera kaan khola.”
^ ya “par aas lagaye.”