yashayah 6:1-13
6 jis saal raja ujjiyah ki maut hui,+ mainne ek darshan dekha. mainne yahova ko ek bahot hi unchi raajgaddi par baithe dekha.+ uske kapde ke ghere se poora mandir bhara hua tha.
2 uske aas-paas saarap khade the. unke chhe pankh the, do se woh apna chehra dhake huye the, do se paanv aur do se woh ud rahe the.
3 saarap ek-doosre ko pukar-pukarkar keh rahe the,“senaon ka parmeshvar yahova pavitra, pavitra, pavitra hai.+
saari prithvi uski mahima se bhar gayi hai.”
4 unki goonj se* darvazon ki chool hil uthi aur poora ghar dhuyen se bhar gaya.+
5 yah dekhkar mainne kaha, “haay! ab main zinda nahin bachoonga,kyonki mere honth ashuddh hain,main ashuddh honthvale insanon ke beech rehta hoon+aur mainne senaon ke parmeshvaraur maharajadhiraj yahova ko dekh liya hai.”
6 tabhi ek saarap udta hua mere paas aaya. woh chimte mein ek angara liye huye tha,+ jo usne vedi se uthaya tha.+
7 usne angare se mere munh ko chhookar kaha,“dekh, isne tere honthon ko chhoo liya,tere apradh door ho gaye,tere paap maaf kiye gaye.”*
8 fir mainne yahova ko yah kehte suna, “main kise bhejoon? kaun hamari+ taraf se jaayega?” mainne kaha, “main yahaan hoon! mujhe bhej!”+
9 tab parmeshvar ne kaha,
“jaa! aur un logon se keh,‘tum baar-baar sunoge, fir bhi na samjhoge,baar-baar dekhoge, fir bhi na seekhoge.’+
10 un logon ka man sunna kar de,+unke kaan behre kar de,+unki aankhein band kar deki aankhein hote huye bhi woh dekh na sakein,kaan hote huye bhi sun na sakein,unka man baaton ko samajh na sakeaur woh palatkar laut na aayen aur change ho jaayen.”
11 tab mainne poochha, “hey yahova, aisa kab tak rahega?”
usne kaha, “jab tak shehar khandhar na ho jaayen aur koi nivasi na bache,jab tak saare ghar khaali na ho jaayen,jab tak poora desh tahas-nahas hokar ujad na jaaye,+
12 jab tak yahova logon ko khadedkar door na bhaga de+aur saare desh mein sannata na chhaa jaaye.
13 magar israel ke logon ka dasvaan hissa bach jaayega. unhein ek bade ped aur baanj ped ki tarah kaatkar fir se aag mein jhonk diya jaayega. magar sirf thoonth reh jaayega. pavitra vansh hi woh thoonth hoga.”