yoel 2:1-32
2 “siyyon mein narsinga foonko!+
mere pavitra pahad par ailan karo ki yuddh honevala hai.
desh* ke sabhi nivasi thar-thar kaanpein,kyonki yahova ka din aa raha hai!+ woh kareeb hai!
2 woh ghor andhkar ka din hai,+kaale ghane baadlon ka din hai,+jaise subah ki raushni ho jo pahadon par failti hai.
ek aisa taakatvar desh hai jiske log beshumar hain.+
aisa desh pehale kabhi nahin hua aur na fir kabhi hoga,peedhi-peedhi tak nahin hoga.
3 uske aage aag bhasm karti jaati hai,peechhe jvala jalati jaati hai.+
uske aage adan ke baag jaisa desh hai,+magar peechhe ujda hua veerana hai,usse kuch nahin bach sakta.
4 woh ghodon jaise dikhte hain,yuddh ke ghodon jaise daudte hain.+
5 jab woh pahadon ki chotiyon par daudte hain to unka shor rathon ki khadkhadahat+aur bhoosi ke jalne ki chatchatahat jaisa hota hai.
woh aise hain maano soormaon ka dal morcha baandhe huye hai.+
6 unki vajah se desh-desh ke log dar aur chinta mein pad jaayenge,
un sabke chehre laal ho jaayenge.
7 woh yoddhaon ki tarah badhe chale aate hain,sainikon ki tarah deevar laangh jaate hain,har koi apni raah par chalta hai,woh usse nahin hatta.
8 woh ek-doosre ko dhakka nahin dete,har koi apni raah par seedhe aage badhta hai.
chahe unmein se kuch hathiyaron ki maar se gir jaayen,to bhi doosre apni pankti nahin todte.
9 woh shehar mein tezee se ghuste hain, sheharpanah par daudte hain.
gharon par chadhte hain aur chor ki tarah khidkiyon se ghus jaate hain.
10 unke saamne zameen thartharati hai, aasman dolne lagta hai.
sooraj aur chaand par andhera chhaa jaata hai+ aur taare bujh jaate hain.
11 yahova apni sena ke saamne buland aavaz mein hukm dega+ kyonki uski sena vishal hai.+
uska vachan poora karnevala shaktishali hai,yahova ka din bada hi bhayanak hai.+
us din kaun tik paayega?”+
12 yahova ailan karta hai, “magar ab bhi vakt hai, tum log poore dil se mere paas laut aao,+upvas karte+ aur rote-bilakhte mere paas aao.
13 apne kapdon ko nahin,+ dilon ko faado+aur apne parmeshvar yahova ke paas laut aao,kyonki woh karuna se bhara aur dayalu hai, krodh karne mein dheema+ aur atal pyar se bharpoor hai,+woh vipatti laane ki baat par fir se gaur karega.*
14 kya pata, woh apne faisle par fir se soche,*use badal de+ aur tumhein aasheesh detaaki tum apne parmeshvar yahova ke liye anaj ka chadhava aur argh chadha sako!
15 siyyon mein narsinga foonko!
upvas ka ailan karo, ek pavitra sabha bulao.+
16 logon ko ikattha karo, mandli ko pavitra karo.+
buzurgon* ko ikattha karo, bachchon aur doodh-peete bachchon ko ikattha karo.+
doolha-dulhan apne andar ke kamre se baahar aayen.
17 mandir mein baramde aur vedi ke beech+
yahova ki seva karnevale yaajak ro-rokar kahein,‘hey yahova, apne logon par taras khaa,raashtron ko un par raaj na karne detaaki teri virasat mazak na ban jaaye.
doosre deshon ko yah kehne ka mauka kyon mile, “kahaan gaya unka parmeshvar?”’+
18 tab yahova apne desh ke liye josh dikhayegaaur apne logon par karuna karega.+
19 yahova apne logon ko yah javab dega:
‘main tumhein anaj, nayi daakh-madira aur tel dene jaa raha hoon,tum poori tarah santusht ho jaaoge,+main fir kabhi tumhein raashtron ke beech badnam nahin hone doonga.+
20 main uttar se aanevale ko tumse door bhaga doonga,use ek sookhe aur ujaad desh mein khaded doonga,uske saamne ki sena poorab ke saagar* ki taraf hogiaur peechhe ki sena pashchim ke saagar* ki taraf.
usse badboo oopar uthegiusse gandh oopar uthti rahegi,+kyonki parmeshvar mahan kaam karega.’
21 hey desh, mat dar.
khushiyaan aur jashna mana kyonki yahova mahan kaam karega.
22 maidan ke jaanvaro, mat darokyonki veerane ke charagah hare-bhare ho jaayenge+aur ped falne lageinge,+anjeer ka ped aur angoor ki bel, donon poora-poora fal deinge.+
23 siyyon ke beto, apne parmeshvar yahova ke kaaran khushiyaan aur jashna manao,+woh tumhein sahi maatra mein patjhad ki baarish dega,tum par khoob paani barsayega,pehale ki tarah tumhein patjhad aur vasant ki baarish dega.+
24 khalihanon mein anaj ka dher lag jaayega,haud nayi daakh-madira aur tel se umadte raheinge.+
25 jitne saal meri bheji hui vishal sena ne,dalvali tiddi, bin pankhonvali tiddi, bhookhi tiddi aur kutarnevali tiddi ne nuksan kiya,+uski main bharpai kar doonga.
26 tum beshak ji-bharkar khaaoge+aur apne parmeshvar yahova ke naam ki taareef karoge,+jisne tumhari khaatir ajoobe kiye hain,mere logon ko fir kabhi sharminda nahin kiya jaayega.+
27 aur tumhein jaanna hoga ki main israel ke beech hoon,+main yahova tumhara parmeshvar hoon,+ mere siva koi nahin hai!
mere logon ko fir kabhi sharminda nahin kiya jaayega.
28 iske baad main har tarah ke insan par apni pavitra shakti undeloonga+aur tumhare bete-betiyaan bhavishyavani kareinge,tumhare buzurg khaas sapne dekheinge,tumhare javan darshan dekheinge.+
29 un dinon main apne daas-daasiyon par bhiapni pavitra shakti undeloonga.
30 main aakash mein aur dharti par ajoobe dikhaunga,*khoon, aag aur dhuyen ka baadal.+
31 yahova ke bade bhayanak din ke aane se pehale,sooraj par andhera chhaa jaayega aur chaand khoon jaisa laal ho jaayega.+
32 aur jo koi yahova ka naam pukarta hai woh uddhaar paayega,+kyonki jaise yahova ne kaha hai, siyyon pahad par aur yarooshalem mein woh log honge jo bach jaayenge,+woh log jinhein yahova bulata hai.”
kai footnote
^ ya “dharti.”
^ ya “pachhtava mehsoos karega.”
^ ya “pachhtava mehsoos kare.”
^ ya “mukhiyaon.”
^ yaani mrit saagar.
^ yaani bhoomadhya saagar.
^ ya “chinh doonga.”