yuhanna ke mutabik khushkhabri 21:1-25

  • yeeshu chelon ke saamne prakat hota hai (1-14)

  • patras baar-baar kehta hai ki use yeeshu se pyar hai (15-19)

    • “meri chhoti bhedon ko khila” (17)

  • yeeshu ke pyare chele ka bhavishya (20-23)

  • samapti (24, 25)

21  iske baad ek baar fir yeeshu, tibiriyas jheel ke kinare chelon ke saamne prakat hua. woh is tarah prakat hua.  aisa hua ki shamaun patras, thoma (jo judvaan kehlata tha),+ galeel ke kaana ka natanael,+ jabdi ke bete+ aur yeeshu ke do aur chele ek-saath the.  shamaun patras ne unse kaha, “main machhli pakadne jaa raha hoon.” unhonne kaha, “hum bhi tere saath chalte hain.” woh baahar nikle aur naav par savaar ho gaye, magar us raat unke haath kuch nahin laga.+  jab subah hone lagi tab yeeshu kinare par aakaar khada ho gaya. magar chelon ne nahin pehchana ki woh yeeshu hai.+  tab yeeshu ne unse poochha, “bachcho, kya tumhare paas khaane ke liye kuch hai?”* unhonne kaha, “nahin!”  usne unse kaha, “naav ke daayin taraf jaal daalo aur tumhein kuch machhliyaan mileingi.” tab unhonne jaal daala aur usmein dher saari machhliyaan aa fansin aur woh jaal ko khinch na paaye.+  tab us chele ne, jise yeeshu pyar karta tha+ patras se kaha, “yah to prabhu hai!” jab shamaun patras ne suna ki yah prabhu hai to usne kapde pehne* kyonki woh nange badan* tha aur jheel mein kood pada.  magar doosre chele chhoti naav mein machhliyon se bhara jaal khinchte huye aaye kyonki woh kinare se zyada door nahin the, kareeb 300 fut* ki doori par hi the.  jab woh kinare par aaye, to unhonne dekha ki jalte koyalon par machhliyaan rakhi hui hain aur roti bhi hai. 10  yeeshu ne unse kaha, “tumne abhi-abhi jo machhliyaan pakdi hain unmein se kuch le aao.” 11  tab shamaun patras naav par chadha aur machhliyon se bhara jaal khinch laaya, jismein 153 badi machhliyaan thi. magar itni zyada machhliyaan hone ke baavjood woh jaal fata nahin. 12  yeeshu ne unse kaha, “aao, naashta kar lo.” lekin chelon mein se kisi ne bhi yah poochhne ki himmat nahin ki ki “tu kaun hai?” kyonki woh jaante the ki woh prabhu hi hai. 13  yeeshu ne roti li aur unhein di. fir usne machhliyaan bhi unhein di. 14  is tarah yeeshu mare huon mein se zinda hone ke baad teesri baar+ apne chelon ko dikhayi diya. 15  jab woh naashta kar chuke to yeeshu ne shamaun patras se kaha, “shamaun, yuhanna ke bete, kya tu inse zyada mujhse pyar karta hai?” patras ne usse kaha, “haan prabhu, tu jaanta hai ki mujhe tujhse kitna pyar hai.” yeeshu ne usse kaha, “mere memnon ko khila.”+ 16  yeeshu ne doosri baar usse kaha, “shamaun, yuhanna ke bete, kya tu mujhse pyar karta hai?” patras ne kaha, “haan prabhu, tu jaanta hai ki mujhe tujhse kitna pyar hai.” usne patras se kaha, “charvahe ki tarah meri chhoti bhedon ki dekhbhal kar.”+ 17  yeeshu ne teesri baar usse kaha, “shamaun, yuhanna ke bete, kya tu mujhse pyar karta hai?” yah sunkar patras dukhi hua ki usne teesri baar usse poochha ki ‘kya tu mujhse pyar karta hai?’ isliye patras ne usse kaha, “prabhu, tu sabkuch jaanta hai. tu yah bhi jaanta hai ki main tujhse kitna pyar karta hoon.” yeeshu ne kaha, “meri chhoti bhedon ko khila.+ 18  main tujhse sach-sach kehta hoon, jab tu javan tha to khud kapde pehanta tha aur jahaan chahe vahaan jaata tha. magar jab tu boodha hoga, to tu apne haath aage badhayega aur koi doosra aadmi tujhe kapde pehnayega aur jahaan tu nahin chahega vahaan tujhe le jaayega.” 19  usne yah batane ke liye aisa kaha ki woh kis tarah ki maut markar parmeshvar ki mahima karega. yah kehne ke baad yeeshu ne usse kaha, “mere peechhe chalta reh.”+ 20  jab patras muda to usne us chele ko aate dekha jise yeeshu pyar karta tha.+ yah vahi chela tha jisne shaam ke khaane ke vakt yeeshu ke seene par jhukkar usse poochha tha, “prabhu, woh kaun hai jo tujhe dhokha dekar pakadvayega?” 21  jab patras ki nazar us chele par padi, to usne yeeshu se poochha, “prabhu, is aadmi ka kya hoga?” 22  yeeshu ne usse kaha, “agar meri marzee hai ki yah mere aane tak rahe, to tujhe isse kya? tu mere peechhe chalta reh.” 23  isliye bhaaiyon mein yah baat fail gayi ki woh chela nahin marega. magar yeeshu ne usse yah nahin kaha tha ki woh nahin marega balki yah kaha tha ki “agar meri marzee hai ki yah mere aane tak rahe, to tujhe isse kya?” 24  yah vahi chela hai+ jo in baaton ki gavahi deta hai aur jisne ye baatein likhi hain aur hum jaante hain ki uski gavahi sachchi hai. 25  darasal aise aur bhi bahot-se kaam hain jo yeeshu ne kiye the. agar un saare kaamon ke baare mein ek-ek baat likhi jaati, to main samajhta hoon ki jo kharre likhe jaate woh poori duniya mein bhi nahin samate.+

kai footnote

ya “machhliyaan hain.”
ya “kam kapdon mein.”
ya “kas liye.”
kareeb 90 mi.; shaa., “kareeb 200 haath.” ati. kh14 dekhein.