daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai
mahamari failne se pehale kai imarton ka nirman hua poora
1 navambar, 2020
har saal laakhon log baptisma le rahe hain, isliye hamein aur bhi raaj-gharon aur doosri imarton ki zaroorat hai. ise dhyan mein rakhte huye sthaneeya yojna aur nirman vibhag ne yojna banayi thi ki 2020 ke seva saal mein 2,700 se zyada imarton ki ya to marammat ki jaayegi ya fir unka nirman kiya jaayega. *
lekin fir covid-19 mahamari shuroo ho gayi. sarkar ke niyamon ko dhyan mein rakhte huye aur bhaai-behenon ko surakshit rakhne ke liye shaasi nikay ki prakashan-samiti ne kuch samay ke liye duniya-bhar mein honevale nirman kaam ko rok diya. lekin mahamari shuroo hone se pehale hi 2020 ke seva saal mein 1,700 se bhi zyada raaj-ghar aur sammelan bhavan ya to bankar taiyar ho chuke the ya unki marammat ki jaa chuki thi! iske alava 100 se bhi zyada shaakha daftron, anuvad daftaron vagairah ka nirman ho chuka tha ya unki marammat ki jaa chuki thi. aaiye jaanein ki inmein se do project kaise poore huye aur inse bhaai-behenon ko kaise faayda ho raha hai.
cameroon shaakha daftar. cameroon mein hamara shaakha daftar pehale douala shehar mein tha. lekin woh jagah chhoti padne lagi thi aur vahaan kaafi marammat ki bhi zaroorat thi. isliye prakashan-samiti ne shaakha daftar ki marammat karne ki sochi. lekin ismein jitna kharcha aata, utni to us imarat ki keemat bhi nahin thi. fir bhaaiyon ne socha ki woh ek nayi jagah zameen lekar us par imarat khadi kareinge ya koi doosri imarat khareedakar uski marammat kareinge. lekin kahin bhi baat nahin bani.
douala shehar se kuch door hamari ek zameen thi jiske ek hisse par sammelan bhavan bana hua tha. bhaaiyon ko pata chala ki uske paas sarkar ek sadak bananevali hai. is vajah se vahaan aana-jaana aasan ho jaata aur bijli, paani vagairah ki aur bhi achhi suvidha ho jaati. shaakha daftar ke liye yah bilkul sahi jagah hoti! isliye shaasi nikay ne usi zameen ke ek hisse par naya shaakha daftar banane ki manzoori de di.
shaakha daftar ke nirman ke liye hamne thekedaron ko bhi kaam par rakha aur bhaai-behenon ne unke saath milkar kaam kiya. isse hamara kaafi samay aur paisa bacha. hamne jitna socha tha, usse kam paison mein hi hamara kaam ho gaya, 20 laakh se bhi zyada dollar bach gaye (kareeb 15 karod rupaye). aur khushi ki baat hai ki covid-19 mahamari shuroo hone se pehale bethel ke bhaai-behen naye shaakha daftar mein rehne ke liye aa gaye the.
ab cameroon shaakha daftar mein seva karnevale bhaai-behenon ke paas rehne aur kaam karne ke liye ek achhi jagah hai, isliye woh khushi se seva kar rahe hain. woh is naye shaakha daftar ke liye yahova ka bahot ehsan maante hain. ek pati-patni ne kaha, “ab hamara man karta hai ki hum aur bhi dil lagakar kaam karein aur dikhayen ki hum yahova se mile is tohfe ki kitni kadar karte hain.”
toholabal anuvad daftar,mexico. kai saalon tak toholabal bhasha ki anuvad team madhya amareeka shaakha daftar mein kaam karti thi, jo mexico city ke paas hai. lekin us ilake ke zyadatar log toholabal bhasha nahin bolte. yah bhasha vahaan se lagbhag 1,000 kilometer (620 meel) door altamirano aur laas maargreetas shehar mein boli jaati hai. aur samay ke chalte bhasha badalti rehti hai, isliye jo bhaai-behen is bhasha mein anuvad karte the, unke liye yah jaanna bahot mushkil tha ki toholabal bolnevale aajkal kaise baat karte hain. yahi nahin, shaakha daftar ke aas-paas toholabal bolnevale zyada bhaai-behen bhi nahin the jo anuvad karne mein ya recording karne mein haath bata sakein.
is vajah se shaasi nikay ki lekhan-samiti chahti thi ki toholabal anuvad daftar aisi jagah par ho jahaan yah bhasha boli jaati hai. ek nayi imarat khadi karna ya kiraye par ek daftar lena zyada mehanga padta. isliye shaakha daftar ne faisla kiya ki woh ek imarat khareedeinge aur uski marammat karke anuvad daftar taiyar kareinge.
toholabal bhasha mein anuvad karnevale ek bhaai kehte hain, “main das saal se shaakha daftar mein anuvad kar raha tha, lekin itne saalon mein us ilake mein mujhe ek bhi aisa parivar nahin mila jo yah bhasha bolta ho. lekin ab hamara anuvad daftar ek aisi jagah par hai jahaan har koi toholabal bolta hai. meri roz toholabal bolnevalon se baat hoti hai. main dekh paata hoon ki woh kis tarah baat karte hain, kaun-se shabd bolte hain aur is vajah se main aur achhi tarah anuvad karne laga hoon.”
2021 ke seva saal ke project
2021 ke seva saal ke liye kul milakar 75 imarton ke nirman ya marammat ki yojna banayi gayi hai. vahaan ya to anuvad kaam kiya jaayega ya fir bible school chalaye jaayenge. iske alava aath bade project ka kaam bhi chalta rahega, jaise new york mein hamare vishva mukhayalay ka naya ramapo project aur argentina aur italy ke naye shaakha daftron ka nirman kaam. yahi nahin, 1,000 naye raaj-gharon ki bhi zaroorat hai, 4,000 raaj-gharon ki marammat ki jaani hai aur 6,000 aisi jagah hain jahaan filhal sabhayen chalayi jaa rahi hain, lekin woh jagah achhi haalaat mein nahin hain isliye unhein badalne ki zaroorat hai.
marammat aur nirman kaam ka kharch kaise uthaya jaata hai? toholabal anuvad daftar ke baare mein baat karte vakt madhya amareeka shaakha daftar ke sadasya bhaai lazaro gonzalez ne is saval ka javab diya. unhonne kaha, “hamari shaakha ke ilake mein bhaai-behenon ke paas zyada paise nahin hain. agar poori duniya ke hamare bhaai-behenon ka saath naa hota, to hum yahaan boli jaanevali bhaashaon ke anuvad daftar nahin bana paate. lekin unhonne jo daan kiya, us vajah se ab anuvadak aise ilakon mein rehkar anuvad kar paa rahe hain jahaan unki bhasha boli jaati hai. bhaai-behenon ne dil kholkar jo daan kiya, uske liye unka bahot-bahot shukriya.” aap sabhi donate.pr2711.com ke zariye aur doosre tareekon se “poori duniya mein honevale kaam ke liye” jo daan karte hain, usi vajah se is tarah ka nirman kaam ho paata hai.
^ sthaneeya yojna aur nirman vibhag apni shaakha ke ilake mein raaj-ghar banane ki yojna banata hai aur unka nirman karta hai. antarrashtreeya yojna aur nirman vibhag vishva mukhayalay mein hai. yah vibhag tay karta hai ki poori duniya mein jo bhi nirman kaam kiye jaane hain, unmein se pehale kaun-saa kiya jaayega aur use kaise poora kiya jaayega.