satark rahiye!
covid se 60 laakh logon ki maut—is baare mein pavitra shastra mein kya likha hai?
vishva swasthya sanghathan (w.h.o.) ke mutabik, 23 mai, 2022 tak covid-19 ki vajah se 62 laakh 70 hazar logon ki maut ho gayi. lekin 5 mai, 2022 ko w.h.o. ne yah khabar di ki asal mein marnevalon ki ginti aur bhi zyada hai. us khabar mein bataya gaya tha ki 2020 aur 2021 ke dauran, ‘kuch logon ki seedhe-seedhe covid-19 mahamari ki vajah se maut hui, to kuch logon ki is mahamari ke chalte doosre kaarnon se maut hui. in sabhi marnevalon ki ginti takreeban 1 karod 49 laakh thi.’ sach mein ye kya hi dil dehlanevale aankade hain! kya is baare mein pavitra shastra bible mein kuch bataya gaya hai?
bible mein pehale se bataya gaya tha ki bhayanak mahamariyaan hongi
yeeshu ne bataya tha ki bhavishya mein aisa daur aayega jab “mahamariyaan faileingi.” is daur ko bible mein ‘aakhiri din’ kaha gaya hai.—luka 21:11; 2 timuthiyus 3:1.
aaj yeeshu ki yah bhavishyavani poori ho rahi hai. is baare mein aur jaanne ke liye, “duniya ka ant kab hoga?” lekh padhein.
bible ke sandesh se dilasa milta hai
‘har tarah ka dilasa denevaala parmeshvar hamari sab pareekshaon [ya museebton] mein hamein dilasa deta hai.’—2 kurinthiyon 1:3, 4.
jin logon ke apnon ki maut hui hai, unmein se kaiyon ko bible ke sandesh se kaafi dilasa mila hai. is baare mein aur jaanne ke liye, “gam se ubarne ke liye aap kya kar sakte hain?” aur “dukhi logon ke liye sachcha dilasa” lekh padhein.
bible mein likha hai ki mahamariyaan kaise poori tarah khatm hongi
“tera raaj aaye. teri marzee jaise swarg mein poori hoti hai, vaise dharti par bhi poori ho.”—matti 6:10.
jald hi “parmeshvar ka raaj” aise haalaat laayega jab “koi nivasi na kahega, ‘main beemar hoon.’” (markus 1:14, 15; yashayah 33:24) yah raaj swarg mein kaayam hai. yah raaj asal mein kya hai aur yah kya karega, is baare mein jaanne ke liye parmeshvar ka raaj kya hai? video dekhein.
hum aapse guzarish karte hain ki aap bible mein di badhiya salah aur romanchak vaadon ke baare mein aur bhi jaanein. isse aapko aur aapke parivar ko kaafi faayda ho sakta hai.