naujavanon ke saval
kya aapko ghar se padhai karna mushkil lagta hai?
aaj bahot-se bachche alag tareeke se padhai kar rahe hain. kaise? woh apne school ki padhai ghar se hi kar rahe hain. agar aap neeche diye sujhav * apnayenge, to aap ghar se hi achhi tarah padh paayenge.
ghar se achhi tarah padhai karne ke 5 sujhav
ek schedule banaiye. pehle se tay keejiye ki aap kaun-saa kaam kab kareinge, theek jaise aap school jaate vakt karte the. sabhi kaam samay par poora karne ki koshish keejiye. jaise school ka homework, ghar ke kaam, aur doosre zaroori kaam. aap zaroorat ke mutabik apne schedule mein ferbadal bhi kar sakte hain.
bible siddhaant: ‘magar sab baatein kaayde se aur sahi kram mein hon.’—1 kurinthiyon 14:40, footnote.
“apna din vaise hi bitaiye jaise aap school mein bitate the. aur saara kaam tay samay par keejiye, jaise aap school jaate vakt karte the.”—katie.
zara sochiye: agar hamara schedule kahin saamne chipka hua ho, to hum use aasani se dekh paayenge aur apne kaam samay par kar paayenge.
samay par har kaam keejiye. jaise-jaise aap bade hote hain, aap samajhne lagte hain ki aapko apni zimmedari khud uthani hai. aur kuch kaam aapko hi poore karne hain, fir chahe aapka man kare ya na kare. to dhyan rakhiye, aaj ka kaam kal par mat chhodiye.
bible siddhaant: “mehantee bano, aalsi mat ho.”—romiyon 12:11.
“apna kaam samay par poora karna mushkil hota hai. woh isliye kyonki hum bahane banakar keh dete hain, “main apni padhai baad mein kar loonga.” magar aisa hota nahin. fir aakhir mein dher saara kaam ek-saath sir par aa jaata hai.”—alexandra.
zara sochiye: agar aap har roz school ka homework time par aur ek hi jagah baithkar karein, to isse aap apna kaam samay par poora kar paayenge.
padhne ke liye jagah chuniye. jab aap padhai karne baithte hain, to saari cheezen saath lekar baithiye. padhne ke liye ek aisi jagah chuniye, jo shaant ho. magar dhyan rakhiye ki kahin aapki aankh na lag jaaye! ho sakta hai ki aapke paas padhne ke liye apna kamra na ho. aise mein aap kitchen ya bedroom mein bhi padhai kar sakte hain.
bible siddhaant: “mehantee ki yojnayen zaroor safal hongi.”—neetivachan 21:5.
“man lagakar padhai karne ke liye zaroori hai ki aapka dhyan na bhatke. isliye apne phone ko silent mode par kar deejiye. khelkood ki saari cheezen alag rakhiye. fir aap achhe se padhai kar paayenge.”—elizabeth.
zara sochiye: man lagakar padhne ke liye aap apni padhai ki jagah par kya-kya ferbadal kar sakte hain?
ek vakt par ek hi kaam keejiye. dher saare kaam ek samay par karne ki koshish mat keejiye, nahin to aapse galti ho sakti hai aur aapko apna kaam poora karne mein jyada vakt lag sakta hai.
bible siddhaant: “apne vakt ka sahi istemal karo.”—ifisiyon 5:16.
“padhai ke vakt jab main apna phone saath rakhti thi, to padhne mein mera dhyan nahin lagta tha. mera zyadatar vakt bekar ki cheezon mein barbad ho jaata tha.”—olivia.
zara sochiye: kya aap dheere-dheere padhai karne ka vakt badha sakte hain? isse aap apna kaam aur achhi tarah kar paayenge.
break leejiye. padhai karte vakt chhote-chhote break leejiye. jaise beech-beech mein tahalne jaaiye, cycle chalaiye ya fir kasrat keejiye. isse dobara padhai karne mein aapko taazgi mehsoos hogi. school power naam ki ek angrezee kitab mein likha hai ki agar aap samay par homework khatm kar lein, to aap apna khaali vakt aur bhi achhe se istemal kar paayenge. isliye sabse pehle apni padhai poori keejiye.
bible siddhaant: “thoda-saa aaram karna, bahot zyada kaam karne aur hava ke peechhe bhaagne se kahin achha hai.”—sabhopdeshak 4:6.
“school mein padhai ke alava aap bahot kuch seekhte hain. jaise sangeet ya koi doosri kala. lekin ab jab main school nahin jaa paa rahi, to mujhe in classon ki kami mehsoos ho rahi hai. isliye hamein padhai ke saath-saath ghar par hi koi hunar seekhna chahiye.” —taylor.
zara sochiye: aap padhai ke beech mein aisa kya kar sakte hain, jisse aap taro-taaza ho jaayen aur padhne mein aapka man bhi laga rahe?
^ ghar par rehkar kai tareekon se padhai ki jaa sakti hai. is lekh mein kuch sujhav diye gaye hain, jo har tarah ki padhai par laagoo kiye jaa sakte hai. jaise, online padhai ya distance education (iska matlab hai ki vidyarthi ko school ya college jaane ki zaroorat nahin hain. woh ghar se hi apni padhai poori kar sakta hai). apne haalaat ke mutabik is lekh mein diye sujhav apnaiye.