naujavanon ke saval
kya doosri bhasha seekhne ka koi faayda hai?
koi bhasha seekhne ke liye zaroori hai ki aap namra hon aur sabkuch schedule ke mutabik karne ke liye taiyar hon. lekin kya ismein mehnat karne ka koi faayda hai? zaroor! bahot-se naujavan yahi kehte hain. is lekh mein bataya gaya hai ki kai naujavan kyon koi doosri bhasha seekhte hain.
doosri bhasha kyon seekhein?
kai log doosri bhasha seekhte hain, kyonki unke school mein yah sikhayi jaati hai. vahin kuch log alag-alag kaarnon se khud doosri bhasha seekhte hain. jaise:
australia mein rehnevali ek ladki anna ne socha ki woh latvian bhasha seekhegi, jo uski maa ke desh mein boli jaati hai. aana kehti hai, “hamara parivar laatviya ghoomne ke liye jaanevala hai aur main chahti hoon ki main apne rishtedaron se unki bhasha mein baat karoon.”
amreeka mein rehnevali jeen yahova ki sakshi hai. usne american sign language seekhi. woh parmeshvar ki seva aur zyada karne ke liye beliz desh mein jaakar rehne lagi. woh kehti hai, “badhir logon ki duniya bahot chhoti-si hoti hai, woh gine-chune logon se hi baatcheet kar paate hain. jab main unhein batati hoon ki mainne american sign language seekhi hai, taaki main unhein bible ke baare mein sikha sakoon, to unhein bahot achha lagta hai.”
kya aap jaante hain? bible mein bhavishyavani ki gayi thi ki parmeshvar ke raaj ki khushkhabri “har raashtra, gotra, bhasha aur jaati ke logon ko” sunayi jaayegi. (prakashitvakya 14:6) aaj yahova ke sakshiyon mein bahot-se javan doosri bhasha seekh rahe hain, taaki woh apne desh mein ya doosre desh jaakar zyada-se-zyada logon ko parmeshvar ke baare mein sikha sakein. is tarah woh bible ki yah bhavishyavani poori kar rahe hain.
kya mushkilein aayengi?
koi bhasha seekhna aasan nahin hota. kareena kehti hai, “mujhe lagta tha ki koi bhasha seekhne ke liye aapko bas us bhasha ke shabd seekhne honge. lekin fir mujhe pata chala ki aapko us bhasha ko bolnevalon ki sanskriti aur unke sochne ka tareeka bhi seekhna padta hai. doosri bhasha seekhne mein sach mein bahot vakt lagta hai.”
bhasha seekhne ke liye namra hona bhi zaroori hai. james naam ke ek naujavan ne spanish seekhi. woh kehta hai, “apni galtiyon ko hansi mein taalna seekhein, kyonki aapse bahot-si galtiyaan hongi. magar tabhi to aap koi bhasha seekh paayenge.”
sau baat ki ek baat: agar aap rukavaton ko paar karna seekh lein aur galtiyon ki vajah se kabhi-kabhi honevali sharmindagi ko nazarandaz kar dein, to aapke liye bhasha seekhna zyada mushkil nahin hoga.
ise aazmaiye: agar aapko lage ki doosre log aapse jaldi bhasha seekh rahe hain, to haar mat maaniye, koshish karte rahiye. shastra mein likha hai, “har koi apne kaam ki jaanch kare. tab woh apne hi kaam se khushi paayega, na ki doosron se khud ki tulna karke.”—galatiyon 6:4.
kya faayde honge?
bhasha seekhne ke kai faayde hain. olivia naam ki ek naujavan kehti hai, “jab aap doosri bhasha seekhte hain, to aap bahot-se naye dost bana paate hain.”
doosri bhasha seekhne se mary ka aatm-vishvas kaafi badh gaya hai. woh kehti hai, “mujhe apne kisi kaam par garv mehsoos nahin hota. lekin ab main doosri bhasha seekh rahi hoon, isliye main har naya shabd seekhne par bahot khush ho jaati hoon. mujhe bahot achha lagta hai.”
jeen, jiska pehle zikra kiya gaya hai, kehti hai ki sign language mein logon ko bible ke baare mein sikhane ki vajah se parmeshvar ki seva mein use aur bhi maza aane laga hai. woh kehti hai, “jab main logon se unki apni bhasha mein baat karti hoon, to unke chehre khushi se khil uthte hain. yah dekhna mere liye kisi inam se kam nahin.”
sau baat ki ek baat: doosri bhasha seekhne se aap naye dost bana sakte hain, aapka aatm-vishvas badh sakta hai aur parmeshvar ki seva mein aapki khushi bhi badh sakti hai. “sab raashtron aur gotron aur jaatiyon aur bhaashaon” ke logon ko raaj ki khushkhabri sunane ka yah ek aham tareeka hai.—prakashitvakya 7:9.