naujavanon ke saval
kya main ghar chhodne ke liye taiyar hoon?
ghar chhodkar jaane ke khyal se aap khush ho sakte hain aur thoda dar bhi sakte hain. par aapko kaise pata chalega ki aap ghar chhodne ke liye taiyar hain?
aap kyon ghar chhodkar jaana chahte hain?
aisi bahot si baatein ho sakti hain jinse aapko lage ki aapko ghar chhod dena chahiye. lekin zaroori nahin ki woh sabhi vajah sahi hon. udahran ke liye, mario naam ka ek ladka maanta hai, “main isliye ghar chhodkar jaana chahta tha taaki main un kaamon se chhutkara paa sakoon, jo mujhe ghar par karne padte the.”
lekin, sach to yah hai ki ghar chhod dene se aapki aazadi pehle se kam ho jaati hai. 18 saal ki aanya kehti hai, “agar aap akele raheinge to aapko khud saare kaam karne padeinge. jaise, apne naye ghar ki saaf-safai karna, apne liye khaana banana aur apne bil bharna. vahaan mammi-paapa aapki madad karne ke liye nahin honge.”
sau baat ki ek baat. aap ghar chhodne ke liye taiyar hain ya nahin yah jaanne ke liye, aapko pata hona chahiye ki aap kyon ghar chhodna chahte hain.
kya aap ghar chhodne ke liye taiyar hain?
yeeshu maseehi ne kaha tha, “tummein aisa kaun hai jo ek meenar banana chahta ho aur baithkar pehle ismein lagnevale kharch ka hisab na lagaye taaki dekhe ki use poora karne ke liye uske paas kaafi paisa hai ya nahin?” (luka 14:28) aap ghar chhodne par hone vaale “kharch ka hisab” kaise laga sakte hain? in maamlon mein khud ki jaanch keejiye.
kya aap paise ka sahi istemal karte hain?
pavitra shastra kehta hai, “paisa hifazat karta hai.”—sabhopdeshak 7:12.
kya aapko paise bachana mushkil lagta hai?
kya aap bahot zyada paise kharch karte hain?
kya aap aksar doosron se udhaar lete hain?
agar inmein se ek bhi saval ka javab haan hai, to aapka akele rehne ka sapna, sapna hi reh jaayega.
“mere bade bhaai ne 19 saal ki umra mein hi ghar chhod diya tha. ek saal ke andar hi uske saare paise khatm ho gaye, bank vaalon ne uski gaadi zabt kar li kyonki woh loan samay par nahin chuka paaya, sabne use udhaar dene se mana kar diya kyonki woh us par bharosa nahin karte the. isliye woh ghar aane ke liye tarasne laga.”—danielle.
aaj aap kya kar sakte hain? apne mammi-paapa se poochhiye ki ek maheene mein kitna kharcha hota hai. unhein kaun-kaun se bil bharne hote hain aur woh kaise budget banate hain taaki sabhi bil samay par bhar sakein. unse yah bhi poochhiye ki woh kaise paise bachate hain.
sau baat ki ek baat. agar aap aaj paise ka sahi istemal karna seekh leinge, to aap tab bhi mushkilon ka saamna kar paayenge jab aap akele raheinge.
kya aap har kaam samay par karte hain?
pavitra shastra kehta hai, “har koi apna bojh khud uthayega.”—galatiyon 6:5.
kya aap har kaam mein taal-matol karte hain?
kya khud ke kaam karne ke liye bhi mammi-paapa aapko yaad dilate hain?
kya aksar aap mammi-paapa ke banaye niyam tod dete hain?
agar inmein se ek bhi saval ka javab haan hai, to jab aap akele raheinge, aapke liye khud apne kaam karna aur bhi mushkil hoga.
“jab aap akele rehte hain to aapko aise bahot se kaam karne padte hain, jinmein aapko koi maza nahin aata. koi bhi aapko woh kaam karne ke liye nahin kehta isliye ek achha schedule banaiye aur khud un zaroori kaamon ko keejiye.”—jessica.
aaj aap kya kar sakte hain? ek maheene ke liye poore ghar ki zimmedari uthaiye. jaise, khud ghar ki saaf-safai keejiye, apne kapde dhoiye, baazar se fal aur sabzee laaiye, har raat khaana banaiye aur uske baad bartan bhi saaf keejiye. isse aapko pata chalega ki jab aap akele raheinge to aapko kaun-kaun se kaam karne honge.
sau baat ki ek baat. agar aap akele rehna chahte hain to yah bahot zaroori hai ki aap apna har kaam samay par karein.
kya aap apni bhaavnaon ko kaaboo mein rakhte hain?
pavitra shastra kehta hai, “in sab baaton ko khud se poori tarah door karo, jaise krodh, gussa, burai, gaali-galauj.”—kulussiyon 3:8.
kya aapko doosron ke saath milkar rehna mushkil lagta hai?
kya aap apne gusse par kaaboo nahin rakh paate?
kya aap hamesha yahi chahte hain saare kaam aapke tareeke se hon?
agar inmein se ek bhi saval ka javab haan hai, to aapke liye aaj aur aage bhi, ek ghar mein kisi aur ke saath rehna bahot mushkil hoga. fir chahe woh aapka jeevan saathi hi kyon na ho.
“ek hi ghar mein kisi aur ke saath rehne se mujhe apni kamzoriyaan pata chalin. mainne seekha ki jab main pareshan hoti hoon, to main apna gussa doosron par nahin nikaal sakti. apni pareshaniyon ka saamna karne ke liye mujhe kuch aur karna hoga.”—helena.
aaj aap kya kar sakte hain? apne mammi-paapa aur bhaai-behenon ke saath milkar rehna seekhiye. jab woh galti karte hain to unhein maaf keejiye. isse pata chalega ki aap un logon ki galtiyaan maaf kareinge ya nahin jo aanevale samay mein aapke saath raheinge.
sau baat ki ek baat. akele rehne ka matlab yah nahin hai ki aapko apni zimmedariyon se chhutkara mil jaayega. iske liye aapko aur bhi taiyari karne ki zaroorat hai. kyon na aap un logon se baat karein jo aisa karne mein kaamyab huye hain? unse poochhiye, aisi kaun si baat hai jo unhein lagti hai ki unhein us vakt pata honi chahiye thi jab unhonne ghar chhoda tha ya woh us vakt kaun saa kaam alag tareeke se karte. koi bhi bada faisle lene se pehle aisa karna achha hoga.