kaun swarg jaayenge?
shastra se javab
parmeshvar ne sirf kuch vafadar maseehiyon ko chuna hai jinhein marne ke baad swarg mein rehne ke liye zinda kiya jaayega. (1 patras 1:3, 4) jinhein chuna jaata hai unhein parmeshvar ke thahraye staron ke mutabik pavitra chaalchalan aur mazboot vishvas banaye rakhna hota hai taaki woh swarg mein rehne ka apna inam kho na dein.—ifisiyon 5:5; filippiyon 3:12-14.
jo log swarg jaayenge woh vahaan kya kaam kareinge?
woh raajaon aur yaajkon ke taur par yeeshu ke saath 1,000 saal ke liye raaj kareinge. (prakashitvakya 5:9, 10; 20:6) swarg mein bani is sarkar ko ‘naya aakash’ kaha gaya hai jo “nayi prithvi” yaani dharti par rehnevale logon par raaj karegi. swarg se raaj karnevale woh shaasak dharti par achhe haalaat laayenge theek jaisa parmeshvar ne insanon ke liye shuroo mein chaha tha.—yashayah 65:17; 2 patras 3:13.
marne ke baad kitne log swarg jaayenge?
bible mein likha hai ki 1,44,000 log swarg jaayenge. (prakashitvakya 7:4) prakashitvakya 14:1-3 mein preshit yuhanna ne darshan mein dekha ki “memna siyyon pahad par khada hai aur uske saath ek laakh chavalees hazar jan khade hain.” is darshan mein yuhanna ne jis ‘memne’ ko dekha woh dobara zinda kiya gaya yeeshu hai. (yuhanna 1:29; 1 patras 1:19) “siyyon pahad” us unche ohde ko darshata hai jo swarg mein yeeshu aur uske saath raaj karnevale 1,44,000 janon ko mila hai.—bhajan 2:6; ibraniyon 12:22.
yeeshu ke saath raaj karne ke liye ‘jinhein bulaya gaya aur chuna gaya’ hai, unhein ‘chhota jhund’ kaha gaya hai. (prakashitvakya 17:14; luka 12:32) isse pata chalta hai ki yeeshu ke poore jhund ke saamne is jhund ki ginti bahot kam hai.—yuhanna 10:16.
swarg mein kaun jaayenge is baare mein kuch galatfehmiyaan
galatfehmi: sabhi achhe log swarg jaayenge.
sachchai: zyadatar achhe logon ko parmeshvar ne prithvi par hamesha ki zindagi dene ka vaada kiya hai.—bhajan 37:11, 29, 34.
yeeshu ne kaha, “koi bhi insan swarg nahin chadha.” (yuhanna 3:13) yeeshu ki is baat se saaf pata chalta hai ki jo vafadar log usse pehle mare the, jaise abraham, moosa, ayyoob aur daavid, woh swarg nahin gaye. (preshiton 2:29, 34) iske bajay, unke paas yah aasha thi ki unhein hamesha ki zindagi jeene ke liye is dharti par dobara zinda kiya jaayega.—ayyoob 14:13-15.
jo log swarg jaayenge unke punrutthan ko “pehla punrutthan” kaha gaya hai. (prakashitvakya 20:6) isse pata chalta hai ki ek aur kism ka punrutthan hoga aur woh dharti par hoga.
bible sikhati hai ki parmeshvar ke raaj mein ‘maut nahin rahegi.’ (prakashitvakya 21:3, 4) swarg mein kisi ki maut nahin hoti sirf dharti par log marte hain, isliye yah baat dharti par rehnevale logon par poori hogi.
galatfehmi: har insan khud tay karta hai ki marne ke baad use swarg mein jeevan milega ya dharti par.
sachchai: parmeshvar tay karta hai ki vafadar maseehiyon mein se kin logon ko ‘oopar ka bulava’ diya jaayega yaani swarg mein jeene ki aasha milegi. (filippiyon 3:14) kisi insan ko swarg jaane ke liye chuna jaayega ya nahin yah uski khud ki ichha par nirbhar nahin karta.—matti 20:20-23.
galatfehmi: swarg mein jeena dharti par jeene se kahin behtar hai. dharti par hamesha ki zindagi ki aasha sirf unhein milegi jo swarg jaane ke laayak nahin.
sachchai: parmeshvar ne jin logon ko dharti par hamesha ki zindagi ki aasha di hai, unhein woh “meri praja,” “mere chune huye” aur ‘yahova ke dhanya log’ kehta hai. (yashayah 65:21-23) woh log parmeshvar ka maksad poora kareinge jo usne insanon ke liye chaha tha, yaani woh is khoobsoorat dharti par hamesha ke liye ek paripoorna jeevan jeeyenge. yah unke liye kitna bada samman hai!—utpatti 1:28; bhajan 115:16; yashayah 45:18.
galatfehmi: prakashitvakya ki kitab mein batayi gayi 1,44,000 ki sankhya sachmuch ki sankhya nahin balki laakshanik hai.
sachchai: prakashitvakya mein di kuch sankhyayen laakshanik hain, magar sabhi nahin. udahran ke liye, ismein “memne ke baarah preshiton ke naam” ke baare mein bataya gaya hai. (prakashitvakya 21:14) aaiye aise saboot par gaur karein jisse pata chalta hai ki 1,44,000 ki ginti laakshanik nahin balki sachmuch ki hai.
prakashitvakya 7:4 mein batayi 1,44,000 ki ginti un logon ki hai ‘jin par muhar lagayi gayi hai [ya, swarg mein jeene ke liye jinki aasha pakki ki gayi hai].’ is aayat ke aas-paas ki aayton mein ek aur samooh ki baat ki gayi hai jise “badi bheed” kaha gaya hai. ise “koi aadmi gin nahin sakta” yaani iski sankhya anginat hai. is “badi bheed” ke logon ko bhi parmeshvar ki taraf se uddhaar milega. (prakashitvakya 7:9, 10) agar 1,44,000 asal sankhya nahin hoti, to is samooh mein aur badi bheed mein fark kaise pata chalta. *
iske alava, 1,44,000 logon ke baare mein yah bhi bataya gaya hai ki unhein “insanon mein se . . . pehle falon ke naate khareed liya gaya hai.” (prakashitvakya 14:4) shabd “pehle falon” se pata chalta hai ki sirf kuch hi log chune gaye hain. isliye ye shabd un thode logon par sahi baithte hain jo yeeshu ke saath swarg se dharti par rehnevale anginat logon par raaj kareinge.—prakashitvakya 5:10.
^ para. 16 usi tarah, professor robert l. thomas ne prakashitvakya 7:4 mein 1,44,000 ki ginti ke baare mein kaha, “yah ek nishchit sankhya hai, jabki 7:9 mein batayi badi bheed ke logon ki sankhya anginat hai. agar 1,44,000 ki sankhya laakshanik hai, to is kitab ki baaki sankhyayen bhi sachmuch ki nahin.”—revelation 1-7: an exegetical commentary, page 474.