yeeshu ko parmeshvar ka beta kyon kaha jaata hai?
shastra se javab
bible ki kai aayton mein yeeshu ko “parmeshvar ka beta” kaha gaya hai. (yuhanna 1:49) “parmeshvar ka beta,” in shabdon se saaf pata chalta hai ki parmeshvar ne hi sabhi praniyon ko jeevan diya, yeeshu ko bhi. (bhajan 36:9; prakashitvakya 4:11) bible yah nahin sikhati ki jaise insan bachchon ko janm dete hain, usi tarah parmeshvar ne apne bete ko janm diya.
bible mein swargdooton ko bhi “sachche parmeshvar ke bete” kaha gaya hai. (ayyoob 1:6) yahi nahin, usmein pehle insan aadam ko bhi “parmeshvar ka beta” kaha gaya hai. (luka 3:38) lekin parmeshvar ne khud yeeshu ko banaya tha aur sabse pehle banaya tha. isliye bible batati hai ki un sab mein se yeeshu parmeshvar ka sabse khaas beta hai.
kya dharti par paida hone se pehle yeeshu swarg mein tha?
ji haan. dharti par insan ke roop mein paida hone se pehle swarg mein yeeshu ek adrishya prani tha. khud yeeshu ne kaha, ‘main swarg se neeche aaya hoon.’—yuhanna 6:38; 8:23.
parmeshvar ne sabse pehle yeeshu ko banaya tha. yeeshu ke baare mein bible mein likha hai:
‘woh saari srishti mein pehlautha hai.’—kulussiyon 1:15.
woh “parmeshvar ki banayi srishti ki shurooat hai.”—prakashitvakya 3:14.
yeeshu ke baare mein ki gayi ek bhavishyavani mein likha hai ki ‘uski shurooat bahot pehle, yugon pehle hui thi.’—mika 5:2; matti 2:4-6.
dharti par aane se pehle yeeshu kya karta tha?
swarg mein woh ek unche ohde par tha. yeeshu ne apni ek prarthna mein zikra kiya ki swarg mein uska ek uncha ohda tha. usne kaha, ‘hey pita, mujhe woh mahima de jo duniya ki shurooat se pehle tere paas rehte huye mujhe mili thi.’—yuhanna 17:5.
usne baaki sab praniyon aur cheezon ki srishti karne mein apne pita ki madad ki. yeeshu ne “ek kushal kaareegar ki tarah” apne pita ke saath kaam kiya. (neetivachan 8:30) yeeshu ke baare mein bible mein likha hai, “usi ke zariye swarg mein aur dharti par baaki sab cheezen sirji gayin.”—kulussiyon 1:16.
parmeshvar ne yeeshu ke zariye hi baaki sab praniyon aur cheezon ki srishti ki, sabhi swargdooton ki aur poore vishva-mandal ki. (prakashitvakya 5:11) parmeshvar aur yeeshu ne saath milkar srishti ki, theek jaise ek architect aur builder saath milkar kaam karte hain. architect design banata hai aur builder us design ke mutabik ghar banata hai.
yeeshu ko “vachan” kaha gaya hai. bible mein likha hai ki dharti par aane se pehle yeeshu swarg mein “vachan” ke taur par kaam karta tha. (yuhanna 1:1) iska matlab yah hai ki parmeshvar apne bete ke zariye swargdooton ko apna vachan pahunchata tha yaani jaankari aur hidaytein deta tha.
parmeshvar yeeshu ke zariye insanon se bhi baat karta tha. parmeshvar ne adan ke baag mein aadam aur havva ko shaayad yeeshu ke zariye hi nirdesh diye the. (utpatti 2:16, 17) shaayad yeeshu hi woh swargdoot tha jisne purane zamane mein israeliyon ko veerane mein raasta dikhaya tha. israeliyon se kaha gaya tha ki woh uski aagyaon ko sakhti se maanein.—nirgaman 23:20-23. *
^ para. 12 parmeshvar ne sirf yeeshu ke zariye hi baat nahin ki. udahran ke liye, usne kuch doosre swargdooton ke zariye israeliyon ko apna kaanoon diya tha.—preshiton 7:53; galatiyon 3:19; ibraniyon 2:2, 3.